Dozakh Aur Sharab
Dozakh aur Sharab.........
Tere laboan ka rang mile ga gulaab mein
Teri nigah e naaz ka nasha sharaab mein
Mil jaye gar woh aik baar mujh ko khwaab mein
Rakh doon ga dil ko cheer ke unki janaab mein
Dozakh mein mil rahi he mujhe peene ki saza
aatish bharak rahi he suboo-e-sharaab mein
Behre tashaffi aaen ge Muhammad e Mustafa
Bakshe gunah jayen ge roz e hisaab mein
Dil ki kitaab band na krna kabhi ay dost,
parhna likha hua he jo roshan kitab mein
Moosa ko gadriye ki samajh aaee na jo dua,,.
makhmoor tha woh nikhwat e baar e sawab mein
Du pal ka he suroor jo rakhe Khuda se dooor
shaitan ka he shor o shar sharb o sharab mein
Peeri mein sab ko aati he yaad e khuda hee kion?
he lutf jab ho yaad e khuda bhi shabab mein
by mazHur
Copyright © Mazhar Butt | Year Posted 2014
Post Comments
Poetrysoup is an environment of encouragement and growth so only provide specific positive comments that indicate what you appreciate about the poem. Negative comments will result your account being banned.
Please
Login
to post a comment